Aa jaao tadapte hain armaan

आ जाओ तडपते हैं अरमां
Work
Year
Language

आ जाओ तड़पते हैं अरमां, अब रात गुजरनेवाली है
मैं रोऊँ यहाँ, तुम चुप हो वहाँ, अब रात गुजरनेवाली है

चाँद की रंगत उड़ने लगी
वो तारों के दिल अब डूब गये, डूब गये
है दर्दभरा बेचैन समा, अब रात गुजरनेवाली है

इस चाँद के डोले में आई नज़र
ये रात की दुल्हन चल दी किधर, चल दी किधर
आवाज़ तो दो खोये हो कहाँ, अब रात गुजरनेवाली है

घबराके नज़र भी हार गई
तकदीर को भी नींद आने लगी, नींद आने लगी
तुम आते नहीं, मैं जाऊँ कहाँ, अब रात गुजरनेवाली है

ā jāo taṛapte haiṅ armāṅ, ab rāt gujarnevālī hai
maiṅ roūṇ yahāṇ, tum chup ho vahāṇ, ab rāt gujarnevālī hai

chāṇd kī raṅgat uṛne lagī
vo tāroṅ ke dil ab ḍūb gaye, ḍūb gaye
hai dardabhrā bechain samā, ab rāt gujarnevālī hai

is chāṇd ke ḍole meṅ āī nazar
ye rāt kī dulhan chal dī kidhar, chal dī kidhar
āvāz to do khoye ho kahāṇ, ab rāt gujarnevālī hai

ghabrāke nazar bhī hār gaī
takdīr ko bhī nīṅd āne lagī, nīṅd āne lagī
tum āte nahīṅ, maiṅ jāūṇ kahāṇ, ab rāt gujarnevālī hai